Zara sochain agar aap apni marzi sy kisi bhi jagha kam sy kam time main puncah sakty hon beghair bus aur train ki timing par depend kiye, aur beghair kharab mausam ki pershani lye jesy barish ya barf bari.
Zara sochain agar aap ko mazeed job ki opportunities dastiab hon ya jab ziada free time mily jisy aap apny bachon ky sath ghomny phirny ky lye guzarna cahain beghair tension lye pubblic transport main any jany ki.
Zara sochain agar aap apni family aur azizon ko road par khataron sy bacha sakty hon…
Kitni khusgawar aur khushal ho sakti ha aap ki aur aap ky azizon ki zindaghi?
Italian patente ki complete theory ko 25 video chapters main convert kar ky aap ki khidmat main paish kia ha, dekhny ky lye jab cahain, ghar bethy bethay, bachaty huy bohat sa time.
Agar aap ko koi concept clear nahi ha ya phir revision karna cahty hain, to video lesson ko dobara shurru sy dekh sakty hain jitni dafa cahain dekhny aur time ki limit ky beghair.
Aap ko har chapter ky end main dedicated Quiz ki practice karwai jye ghi same exam main any wally quiz sy, har chapter ki teyari ka level improve karny ky lye.
“5 maheene se kahin aur jaa ky classes lene ky bawjud meri kafi ghaltian hoti thi aur iss baat ko ly kar main kafi pereshan tha. jab muje pata chala ye apne student ko pass hone ki surety dete hain to maine in ky Demo Lesson dekhe aur mujy in ky smjhany ka treeqa boht pasand aya or easy laga is lye maine join kia Thanks all team.”
Hafiz Muhammad Sohail Yousaf
“In ki site boht achi ha aur translation bhi boht achi ki ha i like this, phly mujy apny kam ki timing ki waja sy school timing ki respect karni hoti thi jis waja sy class attend nahi kar pata tha, abb Pakindiapatente waloo ny jo sholat faram ki ha us ki waja sy main ab din ky kisi bi time me apni online class ly sakta hun.
Specialy thanks Ali Raza..”
Amjid Imran
“Abb aurtoon ky ly ghar beth kr Patente parhny me boht asani peda ho ghi ha aur bachoo wale aurtaye jab bi farg hon kisi b time asani se parh sakti hain. Khas tor par aurtoon ky lye lady Assistant maujod ha.. Mere wife bhi Patente krna cahti thi aur unhou ny bhi Pakindiapatente ko join kia…a great work.”
Asghar Abbas
Aap aik housewife hain, ghar aur bachon ki responsibilities main itni masroof hain jis ki waja sy muskil ha time nikal kar driving licence ky lye regular school join karna.
Aap italy main aik achi job ki talash kar rahy hain (licence aur gari hony sy achi job hasil karny ky chances yaqeenan kafi barh jaty hain!)
Aap already kaam kar rahy hain, lekin tahk ghye hain cycle ya motorcycle chalaty huy aur daily pubblic transport istemal karty huy, aur ab aap kaam par jaldi aur aramdy tareeqy sy punchna cahty hain bachaty huy kafi time.
Aam tor par autoscuola main patente B ki theory ka course easily 400 – 500€ sy ziada price main beghair kisi guarantee ky karwaya jata ha.
To iss ka matlab ha aik dafa charges pay karny ky baad btai ghye classes ko attend kar sakty hain, lekin ager aap exam pass nahi kar saky to phir sy extra charges pay karty huy dobara sy sab shurru karna pary ga.
Buy karty huy ABHI Pakindia Patente course aap theory ky exam ky lye teyar ho sakty hain ajj kal ky market price sy 25% sy ziada raqam bachaty huy.
Pakindia Patente ny new platform ky launch ky moqa par aap ko aik gift deny ka decide kia ha, jis sy aap bachain ghain course ki price main sy 25% sy ziada.
Ager aap buy karty hain Pakindia Patente course 30 SETEMBER TAK to aap apny license ka exam teyar kar sakty hain
….ONLY PAYING:
*IVA INCLUDED
Pakindia patente ky parhany ky bohat achy aur asan method ki waja sy 300 sy zayid students ny 60 days main patente B ky exam main Kamyabi hasil ki ha.
Humain yaqeen ha apni service ki value par jo sahoolat aap ko faraham kar rahy hain uss sy aap jo benefits ly sakty hain, jo ky hum aap ko offer karty hain iss Guarantee ky sath “Satisfied ya Payse Wapis”: ager aap course khatam karny ky baad theory ka exam pass nahi kar saky to, beghair aik euro bhi pay kiye total video course dobara parh sakty hain.
Ager phir bhi humari service sy satisfied nahi hain to,
hum online Course ky full charges wapis deny ky lye teyar hain.