Italian Patente B
in Urdu, Hindi, Punjabi language
Pass karain Patente B theory exam only in 60 days, teyari karty huy bohat asani sy jab bhi cahain jahan bhi cahain.
What will you learn
Pakindia Patente pehla online course ha mukamal tor par urdu, hindi aur punjabi zuban main jo aap ko prepare kary ga italian patente B ky theory exam ky lye.
In 25 chapters ko italian aur mother language main expert logon ny translate kia ha jin main road ky tamam qawaneen aur signboards ki easy aur simple method sy traslation ha, na sirf translation balky tamam argoments ky questions ko pehly defination ki shakl dy kar, khas images aur desigens ki madad sy samjhaya ha aur phir har aik question ka mazeed detail sy matlab waziya kia ha jisy har koi bohat asani sy parh aur samjah sakta ha.
Study karain jab bhi jahan bhi aap cahain: aap ko zaroorat ha aik pc, tablet ya phone aur sirf aik internet connection ki, tamam video course ko mukamal subtitles, images aur desigens ky sath dekhny ky lye. Iss ky sath sath tamam chapters main instructor bhi maujood ha.
This course is for you if…
- Aap italy main aik achi job ki talash kar rahy hain (driving license aur gari hony sy achi job hasil karny ky chances yaqeenan kafi barh jaty hain!).
- Aap already kaam kar rahy hain, lekin tahk ghye hain cycle ya motorcycle chalaty huy aur daily pubblic transport istemal karty huy, aur ab aap kaam par jaldi aur aramdy tareeqy sy punchna cahty hain bachaty huy kafi time.
- Aap aik housewife hain, ghar aur bachon ki responsibilities main itni masroof hain jis ki waja sy muskil ha time nikal kar driving license ky lye regular school join karna.
The Complete Course program
Patente B ki latest book ky 25 chapters ko 100% translate kia ghya ha. Har chapter ko lessons main devide kia ha aur har lesson taqreeban 90 minutes ka ha. Aap ky lye har chapter ky shurru main difficult words ky meaning explain kiye hain jin words ki madad sy question samjhany main asani hoti ha.
The topics
- CHAPTER 1 – Road ki general defination aur istamal main bartao
- CHAPTER 2 – Road par khatery ky signboards
- CHAPTER 3 – Road par ahmiyat deny ya leny wally signboards
- CHAPTER 4 – Road par mamnu karny wally signboards
- CHAPTER 5 – Road par lazim karny wally signboards
- CHAPTER 6 – Road par rasta batany wally signboards
- CHAPTER 7 – Signboards ky izafi pannels
- CHAPTER 8 – Information deny wally vertical signboards aur kaam ki maujudaghi batany wally signboards
- CHAPTER 9 – Tamam traffic ishary aur traffic police ky signs
- CHAPTER 10 – Road par horizontal signboards
- CHAPTER 11 – Traffic main khatra aur rukawat, speed ki adjustment, speed ki haad, rail crossing par bartao
- CHAPTER 12 – Hafazati fasla garion ky darmian
- CHAPTER 13 – Garion ki amdoraft ky qawaneen
- CHAPTER 14 – Choke main guzarny ki tarteeb
- CHAPTER 15 – Overtake karny ky mutaliq qanoon
- CHAPTER 16 – Arzi rukna, pakka rukna, traffic line main khara hona aur phir dobara chalna
- CHAPTER 17 – Road block hona, ruki hui gari ka sign, moterway par amdoraft, insanon aur saman ki transport aur aik kharab gari ko kinchna
- CHAPTER 18 – Lights ka istamal, awaz wally system ka istamal, gari ky dashboard par on hony walli choti lights ka sign aur un ki pehchan
- CHAPTER 19 – Hafazti belt, bachon ki seats, hafazti helmet, motorcycle ky drivers ky hafazti kapry
- CHAPTER 20 – Driving licence, jurmany ka system, traffic main chalny ky lye kaghazat, police ya hakumati idary ki taraf humary faraiz ya hum par jo lazim ha, ankhon wally lens ka istemal aur dusre device ya system
- CHAPTER 21 – Road par hadsy sy bachny ky lye bartao ya rowayia, road par hadsa ho jany ki surat main bartao ya rowayia
- CHAPTER 22 – Gari chalana jismani aur damaghi halat aur mayar ky mutabiq, sharab pina, drugs aur dawaian lena, first aid
- CHAPTER 23 – Civil aur mujramana zimadarian, insurance civil zimadari walli aur dusri shakal walli gari sy mutalqa insurance
- CHAPTER 24 – Istemal karny ki haad patrol, diesel waghera ko, mahol ki respect, mahol main fizzai, awaz walli, bure tareeqy sy ghand pehnkny walli alludaghi ya ghand
- CHAPTER 25 – Gari ky khas hafazti parts jin sy bani ha, gari ki service aur istemal, road par gari ki pakkar aur stability, gari chalaty huy bartao ya rowayia aur ahtiat
The Method of study Pakindia Patente
Study karny ky lye sab sy pehly aap main Patente ki hawahiss aur mehnat ka jazba hona zaroori ha kyon ky sirf aik insan hi aap ko kamyab kar sakta ha aur wo hain aap khud.
Hum apny students par study karny ky kafi methods apply karny ky baad iss natijy par puhncy hain, sab sy behter aur asan method yeh ha ky har chapter ky start main dye ghye difficult words ky meanings yaad karny ky BAAD hi proper chapter ko study karna start karain.
Aur iss ky sath sath aap ko sirf 2 note book aur 1 pen ki zaroorat ha. Study ky duran aap jo points lena cahty hain ya jin points ko aap note book par note karna zaroori samjahty hain apni pehli note book par un ka note lain.
Aap jis bhi device (computer, tablet, mobile phone) par study karna cahain ghye aap ko uss main aik (FREE) aplication install karwai jye ghi jis par aap har chapter ky quiz ki practice karain ghye, quiz paper karny ky duran aap ki jo galtian hon dusri note book par wo tamam points note karain aur chapter main dobara unn points ko study kar ky lazmi clear karain.
Hum ny theory exam ky ilawa aap ko kuch general information bhi di ha jo road par gari chalany main kaam ay ghi for example: jesy road par hadsa hony ky baad jo papers fill karny hoty hain waghera waghera. Hum aap ki guidness aur help ky lye hamesha available hain.
Who will guide you to discover the Italian license
Nice to meet you!
I introduce myself,
mein Ali Raza hon, Pakindiapatente ka founder mujy italy main rehty huy 20 saal sy ziada time ho ghya ha yahan mein ny apni education aur course ki training complete ki ha.
Iss period ky duran mujy italy main aye bohat sy pakistani aur indian behn bhaion sy milny ka moqa mila, jo aik achi aur behter job hasil karny ka hawab dekhty hain aur khud ko kamyab karny ky sath sath apni family ko bhi support karny aur khusgawar zindaghi guzarny ky hawahissmand hain.
Lekin in main sy bohat sy logon ky hawab haqeqat ka rang nahi ly paty jesy hi unhain ihsas hota ha ky italy main kamyab zindaghi guzarny ky lye driving licence kis kadar ahmiyat rakta ha.
Infact, bohat sy italy main nye ane wally pakistani aur indians behn bahi jo itni achi italian nahi janty un ky lye namumkin ha Patente B main kamyabi hasil karna. Yahan ky autoscuola main sirf italian hi boli jati ha!
To is problem ko mad-e-nazar rakty huy Pakindia Patente ka concept bana: mein apni education, knowledge aur experience ky zarie sy apny tamam ghair mulki behen bhaion ki madad karna chata hun jo meri tarha italy main aik kamyab aur behter zindaghi ki talash main ay hain.
“Mehnat itni khamosi sy karain ky aap ki kamyabi shor macha dy”
The exam of Patente B
becomes a child’s play!
Pakindia Patente course ky tamam video lessons experts ki taraf sy alphabetic language main likhy aur samjhay ghye hain, jo parhna aur samjhna boht ziada asan ha urdu – hindi – punjabi bolny wallon ky lye, total video course main har aik aik lafz ki translation ha aur har topic ko real images, photos aur desigens ki madad sy bohat ziada detail aur asan tareeqy sy explain kia ha.
Ab italian zuban ky knowledge ka koi issue nahi raha. Humary video lessons issi bat ko mad-e-nazar rakh kar banay ghye hain jo Italian nahi bhi janty wo asani sy parh aur samjah sakain.
Why Choose an online course
Study when YOU want
Repeat the lesson as many times as you want
Jitni dafa cahain, time aur dekhny ki limit ky beghair dekh sakty hain.
How much is cost?
Aam tor par autoscuola main Patente B ki theory ka course easily 400 – 500€ sy ziada price main beghair kisi guarantee ky karwaya jata ha.
To iss ka matlab ha aik dafa charges pay karny ky baad btai ghye classes ko attend kar sakty hain, lekin ager aap exam pass nahi kar saky to phir sy extra charges pay karty huy dobara sy sab shurru karna pary ga.
Buy karty huy ABHI Pakindia Patente course aap theory ky exam ky lye teyar ho sakty hain ajj kal ky market price sy 30% sy ziada raqam bachaty huy.
550€
380€
IVA included
Ager theory exam mein pass na hon to,
issi fees main aap doobara tayari kar sakty hain.
What will you buy
- Enter/Log in hona Pakindia Patente ky PERSONAL AREA main jahan aap ko 25 chapters milain ghain.
- Enter/Log in hona QUIZ KARNY KY LYE (exam ki teyari ka level check karny ky lye) har chapter ky end main.
- Video lessons ko dobara dekhna mumkin ho ga jitni dafa aap cahain.